udas udas the hum us ko ek zamana hua ghazal ka aaina dekha to muskurana hua na jaane kitne hi khabron ne khud-kushi kar li chalo ki aaj ka akhbar bhi purana hua phir aaj bite hue mausamon ki yaad aai phir aaj rengte lamhon se dostana hua ye band kamre ki tanhaiyon ka ghul tha ki phir hamare wahm par ek war qatilana hua wo fakhta thi jise goliyon ne bhun diya ye qatl sehn-e-gulistan mein jarehana hua hamara shahr raha sirf walwalon ka hi shahr use nasib kahan zalzale ugana hua wo munhadim sahi diwar to mili ai 'rind' usi ke sae mein taskin ka thikana hua