phir koi taza-sitam wo sitam-ijad kare kash is karb-e-taghaful se ab aazad kare kahin banjar hi na ho jae mere dil ki zamin lala-e-zakhm se is kisht ko aabaad kare jaanta tha ke har aawaz palat aaegi phir tawatur se dua kyun dil-e-nashad kare apne lahje ki hi sakhti ko tasawwur kar ke laut aane ki shab-e-hijr mein fariyaad kare gam-dar-gam badalta hai chalan zalim ka jaane is bar nai kaun si bedad kare us se kah de koi khamosh hai saz-e-hasti chhed kar wasl ka naghma mera dil shad kare log anjam ki dahshat se nikal aae hain ab jo kar pae to is shahr ko barbaad kare