udasi hi udasi hai bade bezar baithe hain na jaane kya wo bazi thi jise hum haar baithe hain hawa ke hath mein hai uf ye kis mausam ka parwana parinde phir paron mein dal kar minqar baithe hain mashinon ke sukun-na-ashna is daur mein yaro kahan wo log jo kahte the hum bekar baithe hain kisi diwar ka saya ki koi mod ka patthar jahan baithe hain goya dar-khur-e-azar baithe hain usi ka nam hai shayad rah-e-ulfat ki majburi kahin se be-sabab utthe kahin na-chaar baithe hain inhi logon ne maujon ko safinon ki ada di hai abhi us par atke the jo ab is par baithe hain niyaz-o-naz ki wo kashmakash bhi ab kahan 'rahi' jise hum dil samajhte the use bhi mar baithe hain