soch-nagar ke kolahal se bach jate to sote bhi so jate to sapnon ke man chahe haar pirote bhi sukh gai ehsas ki rag rag kuntha ki lau sah sah kar ab jo zara sa ji bhar aata ji bhar ke hum rote bhi dil ka kabutar agar uda le alhad-pan ki koi ada chahat ke hathon ke aksar ud jate hain tote bhi chadhti dhup utarte pani ruth na jate hum se agar nai ruton mein gai ruton ke dagh purane dhote bhi kash bhanwar ki aankh bulati banh pasare maujen bhi nadi kinare baith ke hum tum hath aur pair bhigote bhi