udasiyan sahar-o-sham ki nahin achchhi 'jigar' ye khu dil-e-nakaam ki nahin achchhi chhalak chale na kahin zarf ai dil-e-makhmur bahut hawas mai-e-gulfam ki nahin achchhi unhin ko karti hai be-khanuman jo be-ghar hain rawish ye gardish-e-ayyam ki nahin achchhi kisi ki shan-e-taghaful se hai waqar-e-naz umid nama-o-paigham ki nahin achchhi siwae kashmakash-o-iztirab kya hasil kured qismat o anjam ki nahin achchhi dil-e-hazin na kahin ishq bad-guman ho jae talash rahat-o-aram ki nahin achchhi kahin ye phulon ke ima se hon na murgh-e-asir shikayaten qafas-o-dam ki nahin achchhi 'jigar' ye yaad kahin zahr ho na jae tumhein jo rat lagi hai kisi nam ki nahin achchhi