koi bijli in kharabon mein ghata raushan kare ai andheri bastiyo tum ko khuda raushan kare nanhe honton par khilen masum lafzon ke gulab aur mathe par koi harf-e-dua raushan kare zard chehron par bhi chamke surkh jazbon ki dhanak sanwle hathon ko bhi rang-e-hina raushan kare ek ladka shahr ki raunaq mein sab kuchh bhul jae ek budhiya roz chaukhat par diya raushan kare khair agar tum se na jal paen wafaon ke charagh tum bujhana mat jo koi dusra raushan kare aag jalti chhod aae ho to ab kya fikr hai jaane kitne shahr ye pagal hawa raushan kare dil hi fanus-e-hawa dil hi khas-o-khar-e-hawas dekhna ye hai ki us ka qurb kya raushan kare ya to is jangal mein nikle chand tere nam ka ya mera hi lafz mera rasta raushan kare