udasiyon ka hamari sabab tumhin to the hamari fikr mein bas roz-o-shab tumhin to the hamein gharaz hi na thi aur kuchh bhi duniya mein hamari zist ki pahli talab tumhin to the jo guzre bagh se titli labon pe aa baithi hazaron phul the par ghuncha-lab tumhin to the kisi ke aane se hum ko koi khushi na mili hamare waste bazm-e-tarab tumhin to the karun bayan bhi kya main dil-e-shikasta ka jigar mein tum the mere zer-e-lab tumhin to the hamein umid-e-mudawa kisi se kyon hoti hamare dard-e-jigar ka matab tumhin to the kisi ne tum se adawat rakhi to kya 'mukhtar' agarche dahr mein ek be-adab tumhin to the