udate aae hain aap apne khwab-zar ki khak ye aur khak hai ek dasht-e-be-kanar ki khak ye main nahin hun to phir kis ki aamad aamad hai khushi se nachti phirti hai regzar ki khak hamein bhi ek hi sahra diya gaya tha magar uda ke aae hain wahshat mein be-shumar ki khak hamin muqim hue muddaten huin lekin suron se ab bhi nikalti hai rahguzar ki khak ye haal hai ki abhi se khanak rahe hain zaruf abhi gundhi nahin jin mein se be-shumar ki khak suna hai dhundte phirte hain kab se kuza-garan hamari aankh ka pani tere dayar ki khak ajab nahin ki mujhe zinda gadne wale kal aa ke phank rahe hon mere mazar ki khak