udhar mazhab idhar insan ki fitrat ka taqaza hai wo daman-e-mah-e-kanan hai ye dast-e-zulekha hai idhar teri mashiyyat hai udhar hikmat rasulon ki ilahi aadmi ke bab mein kya hukm hota hai ye mana donon hi dhoke hain rindi ho ki darweshi magar ye dekhna hai kaun sa rangin dhoka hai khilauna to nihayat shokh o rangin hai tamaddun ka muarrif main bhi hun lekin khilauna phir khilauna hai mere aage to ab kuchh din se har aansu mohabbat ka kanar-e-ab-e-ruknabaad o gulgasht-e-musalla hai mujhe malum hai jo kuchh tamanna hai rasulon ki magar kya dar-haqiqat wo khuda ki bhi tamanna hai mashiyyat khelna zeba nahin meri basirat se utha le in khilaunon ko ye duniya hai wo uqba hai