tajrabe ke dasht se dil ko guzarne ke liye roz ek surat nai hai ghaur karne ke liye jab koi banta hai lakhon hastiyon ko met kar subh taron ko dabaati hai ubharne ke liye hamil-e-asrar-e-fitrat hun gada bhi hun to kya baat ye kafi hai mujh ko fakhr karne ke liye ruh ko chamka khudi ko tod kar zine bana do ye tadbiren hain duniya mein ubharne ke liye ghaur se dekha nizam-e-dahr to sabit hua aadmi paida hua hai kaam karne ke liye subh uth kar aansuon se khun ke rota hun main dil ke naqshe mein wafa ka rang bharne ke liye gauhar-e-maqsud khud milta hai himmat shart hai muztarib rahta hai har moti ubharne ke liye aankh sharmai hui hai baal peshani pe hain aaina-khane mein jate hain sanwarne ke liye kah do duniya ke hawadis se na chheden is tarah 'josh' hum tayyar hi baithe hain marne ke liye