udi jo gard to is khak-dan ko pahchana aur us ke baad dil-e-be-nishan ko pahchana jala jo rizq to hum aasman ko jaan gae lagi jo pyas to tir o kaman ko pahchana chalo ye aankh ka jal-thal to tum ne dekh liya magar ye kya ki na abr-e-rawan ko pahchana bahaar aai to har-su thin katranen us ki bahaar aai to hum ne khizan ko pahchana khud apne gham hi se ki pahle dosti hum ne aur us ke baad gham-e-dostan ko pahchana safar tawil sahi hasil-e-safar ye hai wahan ko bhul gae aur yahan ko pahchana zamin se hath chhudaya to fasle jage magar na hum ne karan-ta-karan ko pahchana ajab tarah se guzari hai zindagi hum ne jahan mein rah ke na kar-e-jahan ko pahchana