unki raftar se dil ka ajab ahwal hua

un ki raftar se dil ka ajab ahwal hua
rundh gaya pis gaya mitti hua pamal hua

dasht-e-wahshat ka ilaqa mujhe imsal hua
dagh-e-sauda sifat-e-nayyar-e-iqbaal hua

is bakhede se ilahi kahin chhutkara ho
ishq-e-gesu na hua jaan ka janjal hua

nazar-e-lutf na ki tu ne mere rone par
tifl-e-ashk ai mah-e-khubi na khush-iqbaal hua

hain wo sufi jo kabhi nala-e-naqus suna
wajd karne lage hum dil ka ajab haal hua

pad gaya un pe mere pech mein lane ka wabaal
kya pareshan tere gesuon ka haal hua

daulat-e-faqr ho ai munimo aur kamli ho
fakhr kya hai jo do-shaala hua rumal hua

apni qismat ka nawishta jo dikhaya hum ne
hashr ke roz ghalat nama-e-amal hua

aasman ne mujhe mahrum-e-shahadat rakkha
tegh-e-qatil ke liye bakht-e-siyah-e-dhaal hua

log kahne lage kundan pe chadhae mina
sabza-e-khat se wo khush-rang tera gal hua

tegh-e-husn ai gul-e-tar ho gai khun-aluda
mujh pe ghusse mein tera munh jo bahut lal hua

tair-e-dil ki liye aap ne sayyaadi ki
rishta-e-dam-e-bala zulf ka har baal hua

la-makan tak kahin thahra na mera pa-e-khayal
mazra-e-sabz-e-falak bich mein pamal hua

ai 'saba' aap riayat na karen lafzon ki
zar-e-gul paya jo gulchin ne to kya mal hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close