udte hue parindon ke shah-par samet lun ji chahta hai sham ke manzar samet lun lab par ugaun us ke dhanak phul qahqahe aaankhon mein us ki phaila samundar samet lun pahle milan ka phul khile ruh mein teri bahon mein tujh ko le ke tere dar samet lun mumkin nahin hai phir bhi main ye chahta hun kyun akhbar par sulagte hue ghar samet lun chadar dun apne ahd ki zainab ko aur badhun nezon pe jo saje hain sabhi sar samet lun