shikar ho gaya wo khud hi is zamane ka jawaz dhund raha tha mujhe mitane ka ye imtihan fan-e-azari se hai mansub tarash lijiye patthar koi thikane ka kabhi raha to nahin gardish-e-falak ka sath kahan se sikha hai tum ne hunar satane ka mere khulus ka jis ko na e'tibar aaya fareb khata raha umr bhar zamane ka jo ahl-e-dil hain wahi aazmae jate hain ajib rang hai qudrat ke kar-khane ka jo aala zarf hain malum hai unhen 'shahin' saliqa chahiye insan ko gham uthane ka