uDte panchhi mar girane hote hain

udte panchhi mar girane hote hain
zalim ne to zulm kamane hote hain

ek chhat ke niche rahne walon mein bhi
hail kitne yar zamane hote hain

tum phulon ke byopari ho kya jaano
phulon ne aangan mahkane hote hain

un ke nam liye jata hun subh-o-sham
main ne jin ke nam bhulane hote hain

dekh ke jin ko dar jae virana bhi
aabaadi mein wo virane hote hain

bhuk iflas ke bojh tale jo dab jae
us ne kis ke naz uthane hote hain

main ne tera nam suna makhmur hua
main kya jaanun kya maikhane hote hain

jin ko apna nam nahin hai yaad 'khizar'
un ko mere yaad fasane hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close