nili aankhon mein dhanak-khwab ki pahnai hai kis samundar se hawa bund chura lai hai chand ne us ki kalai pe jo bandhi thi kiran ganw ki sham use shahr mein kho aai hai zard shelfon mein na rakh sabz kitaben itni yahi is mausam-e-be-faiz mein danai hai kal ki barish mein parinde kahan soe honge aaj ki dhup isi sharm se dhundlai hai raat jugnu ke taaqub mein gai thi lekin apne mathe ke sitare bhi ganwa aai hai