ufuq agarche pighalta dikhai padta hai mujhe to dur sawera dikhai padta hai hamare shahr mein be-chehra log baste hain kabhi kabhi koi chehra dikhai padta hai chalo ki apni mohabbat sabhi ko bant aaen har ek pyar ka bhuka dikhai padta hai jo apni zat se ek anjuman kaha jae wo shakhs tak mujhe tanha dikhai padta hai na koi khwab na koi khalish na koi khumar ye aadmi to adhura dikhai padta hai lachak rahi hain shuaon ki sidhiyan paiham falak se koi utarta dikhai padta hai chamakti ret pe ye ghusl-e-aftab tera badan tamam sunahra dikhai padta hai