hum se ye kah ke wo haal-e-shab-e-gham puchhte hain kya bataoge na tum ab bhi ki hum puchhte hain yun koi de ke zaban apni mukar jata hai aap se kahte hain ye aap se hum puchhte hain bhule-bhatke jo udhar koi nikal jata hai khair but-khane ki sab ahl-e-haram puchhte hain main ne aisa koi hamdard na dekha na suna subh ko mujh se wo haal-e-shab-e-gham puchhte hain jo na jheli thi kabhi us ne wo aafat jheli aap kya 'nuh' se afsana-e-gham puchhte hain