ufuq ke khunin dhundlakon ka subh nam nahin qadam badha ki ye sathi tera maqam nahin abhi na de mujhe izn-e-bahaar ai saqi abhi hayat sitaron se ham-kalam nahin mila hai ab kahin sadiyon ke baad maston ko wo mai-kada ki jahan koi tishna kaam nahin na aarizon pe shafaq hai na gesuon mein shikan ye subh-o-sham nahin mere subh-o-sham nahin bahaar-e-dair-o-haram le ke kya karun naseh ye qafile to abhi tak sahar-maqam nahin qadam qadam pe hai darkar jahd-o-fikr-o-amal ye zindagi hai sada-e-shikast-e-jam nahin abhi to daman-e-shab mein sisak rahi hai sahar badhe chalo ki abhi saat-e-qayam nahin