tere shahr-e-amn ka kya kahen ki har ek makan juda sa hai hain daron pe qufl lage hue sar-e-taq dip bujha sa hai tera dasht bhi to hai be-karan meri wahshaton ki bhi had nahin mere jurm-e-khana-kharab ko to ye rahguzar bhi dilasa hai teri yaad aai to kis tarah main pukarta hi chala gaya koi dam ruka to khabar hui ki ye koh koh-e-nida sa hai meri ghairat-e-hama-gir ne mujhe tere dar se utha diya kuchh ana ka zor jo kam hua to khabar hui tu khuda sa hai abhi la ki manzil-e-sakht mein hun fareb-o-wahm-o-guman liye mere dil mein phir bhi basa hua tera nam radd-e-bala sa hai ye masafaten shab-e-tar ki ye na khatm hone ke silsile abhi fasla rag-e-jaan se hai to hanuz garche zara sa hai tere khatt-e-husn-e-jamal ko mere harf-e-aina-saz ne kai rang de diye pur-kashish magar ab bhi ek khala sa hai