ufuq par tulu-e-sahar dekhte hain

ufuq par tulu-e-sahar dekhte hain
bas ek khwab hai raat bhar dekhte hain

zamin par to khana-badoshi hai apni
falak se pare apna ghar dekhte hain

hamari nazar aakhiri daw par hai
abhi zer hain par zabar dekhte hain

zaban aur hi kuchh bayan kar rahi hai
hum ahl-e-nazar hain nazar dekhte hain

bahut tut kar hum ne rishte nibhae
zara ek din tod kar dekhte hain

ab aaina hathon mein rakhte nahin hum
hatheli pe dastar-o-sar dekhte hain

hain 'iqbaal' kuchh aise manzar bhi jin ko
nahin dekhna tha magar dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close