sans chalti hai jaan baqi hai ishq ka imtihan baqi hai par-shikasta na jaaniye sahib hauslon ki udan baqi hai aakhiri tir bhi hai tarkash mein hath mein bhi kaman baqi hai panw ke niche hai zamin ab tak sar pe bhi aasman baqi hai aandhiyan ho gai hain phir nakaam bastiyon mein makan baqi hai