ufuq se aag utar aai hai mere ghar bhi shikast hote hain kya shahar apne andar bhi ye aab-o-tab isi marhale pe khatm nahin koi charagh hai is aaine se bahar bhi khamir jis ne uthaya hai khak se mera usi ne khwab se khincha hai mera jauhar bhi main dhund lunga koi rasta palatne ka jo band hoga kabhi mujh pe aap ka dar bhi kisi ke aks-e-munawwar ki chhut se hai dang to mere dam se hai ye aaina mukaddar bhi ye saill-e-shab hi nahin mere waste jari rawan hai mere liye subh ka samundar bhi dahakne wale faqat phul hi na the 'sajid' khile hue the inhi kyariyon mein akhgar bhi