ujala hi ujala raushni hi raushni hai andhere mein jo teri aankh mujh ko dekhti hai abhi jaga hua hun main ki thak kar so chuka hun diye ki lau se koi aankh mujh ko dekhti hai tajassus har ufuq par dhundhta rahta hai us ko kahan se aur kaisi aankh mujh ko dekhti hai amal ke waqt ye ehsas rahta hai hamesha mere andar se apni aankh mujh ko dekhti hai main jab bhi raste mein apne pichhe dekhta hun wahi ashkon mein bhigi aankh mujh ko dekhti hai kahin se hath badhte hain mere chehre ki jaanib kahin se surkh hoti aankh mujh ko dekhti hai darkhto mujh ko apne sabz patton mein chhupa lo falak se ek jalti aankh mujh ko dekhti hai