ye moajiza bhi dikhati hai sabz aag mujhe paron baghair udati hai sabz aag mujhe main aayaton ki tilawat mein mahw rahta hun har ek bala se bachati hai sabz aag mujhe har ek shakh pe rakhti hai zard qindilen phir us ke baad jalati hai sabz aag mujhe mein aab-e-surkh mein jab khwab tak pahunchta hun to mere samne lati hai sabz aag mujhe hinai panw ragadte hue na ghas pe chal tujhe khabar hai ki bhati hai sabz aag mujhe main jab bhi jalte hue koelon pe sota hun to aasman se bulati hai sabz aag mujhe zamin pe nag hain aur un ke munh mein khwab ki lau kahaniyon se daraati hai sabz aag mujhe