ujale ho gae zinda meri ghamgin aankhon mein tum aae to sada ko bas gai taskin aankhon mein lagaya kajal-e-ishq us ne jab shauqin aankhon mein simat aain sabhi ranginiyan rangin aankhon mein mahak uthti hain jism-o-jaan ki afsurda fazaen bhi jab aata hai piro kar wo gul-e-nasrin aankhon mein jo in mein dub jata hai ubhar kar phir nahin aata samundar kar rakhe hain band kya namkin aankhon mein badan sone ka rakhta hai wo dilbar dekhne us ko laga kar surma-e-zarrin chalo miskin aankhon mein udanen bharne lagti hain khayalon ki ababilen jab aankhen dalta hun main teri shahin aankhon mein kai dil phenk dil ke aabgine tod kar bhage qayamat jab bapa hone lagi shauqin aankhon mein hamare jazba-e-dil ko saraho ai qalam-karo fasane kar diye hum ne raqam do tin aankhon mein lahad aisi kisi ne bhi na dekhi hogi ai 'shiban' hazaron hasraton ki ho gai tadfin aankhon mein