ujda hua shahr phir basaun ye hausla ab kahan se laun tute hue aaine mein khud ko main dekh jo lun to dar na jaun zakhmon se bhare chaman mein rah kar phulon se mahakte git gaun ai kash wafa ki raushni se ummid ka ek diya jalaun tajdid-e-wafa ke aasare par zakhmon ki chubhan bhi bhul jaun apna hi lahu rawish rawish par ai mere chaman kise dikhaun