mere nalon mein nihan soz bhi hai saz bhi hai meri aawaz mein shamil teri aawaz bhi hai muzhda ai kaba-o-but-khana mera husn-e-nazar but-tarashi mein bhi mahir hai khuda-saz bhi hai apni haalat pe mujhe khud hi taras aata hai par-shikasta hun magar khwahish-e-parwaz bhi hai meri qismat hi nahin meri tabahi ka sabab is mein us shokh ki shamil nigah-e-naz bhi hai ishq mein maut se milti hai hayat-e-abadi ishq ki maut to anjam bhi aaghaz bhi hai sai-e-ikhfa-e-mohabbat to baja hai lekin sai-e-ikhfa hi mohabbat ki to ghammaz bhi hai