ukero na sine mein bachpan se mustaqbil aur kaamyabi ka Dar dil banao

ukero na sine mein bachpan se mustaqbil aur kaamyabi ka dar dil banao
kisi dhul khati hui car ke kanch par ungliyan pher kar dil banao

kabhi laut aao jo shahr-e-tamanna mein to mujh pe itna sa ehsan karna
yahan tir pahle se maujud hai jo use todna mat agar dil banao

takhat mez kursi chamakte hain kari-garon ke lahu aur pasine se ghar mein
numaish hi karni hai wahshat ki to chhil kar kyon na jism-e-shajar dil banao

buzurgon ne jo bhi kiya hai use bhulna mat kabhi imtihanon mein bachcho
kitabon mein naqshe pe kitne bhi border hon tum copiyon mein magar dil banao

jo khauf-e-nazar hai zamane ke dil mein wo badhti hui duriyon ka sabab hai
hata do sabhi apne apne gharon se nazar-battu aur dar-ba-dar dil banao

agar chahte ho thikane lagana bhatakte hue aashiqon ko yakayak
shab-e-hijr mein ek udasin talab par chandni se qamar dil banao

'anant' ujlat-e-raegani ke mare badalte rahe hain nasha umr-bhar se
dawaon ke namon ko chhodo tum aashiq ke parche pe bas doctor dil banao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close