duniya-dari ke chakkar mein dekho kya kya bhul gae

duniya-dari ke chakkar mein dekho kya kya bhul gae
jhuthe rishte yaad rahe sab sachcha rishta bhul gae

tum us din kuchh kahne wale the mujh se batlao ab
achchha thahro batlata hun aur phir kahna bhul gae

jis raste par sau aafat hai hum ne use aabaad kiya
jo dil se dil tak jata tha sidha rasta bhul gae

un bahon ko yaad nahin kya un ki zimme-dari thi
is tan ko bhi yaad nahin hai kyon hum sajna bhul gae

aaj milenge to kah denge man mein rakkhi sab baaten
kitna kuchh us se kahna tha lekin kahna bhul gae

dil se dil tak jaane mein aasani thi so chale gae
jaana hi bas yaad raha hai laut ke aana bhul gae

ghalati kar ke akhbaron mein chhapwane ka fashion hai
apne kiye par hum sharmana aur pachhtana bhul gae

sulh-safai 'anjana' main ne us se kar to li lekin
dil bhi tha naraaz bahut us ko samjhana bhul gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close