ukta ke ku-e-yar se ushshaq chal pade kar-e-wafa ke dekhiye mushtaq chal pade main uth gaya to dard ki mahfil ujad gai mere hi sath ishq ke mashshaq chal pade naqsh-e-qadam pade hain ye qudrat ke ja-ba-ja duniya-e-dil se uth ke bad-akhlaq chal pade barg-e-hina se likh ke nasihat zamin par gulshan ko tere chhod ke auraq chal pade rishton ke ehtiram ki jin ko na thi tamiz daman mein apne bandh ke aafaq chal pade teri nigah-e-naz ne aisa fusun padha diwane ho ke duniya se ashfaq chal pade main ne charagh-e-ishq jalae the jo 'nadim' hamrah mere chhod ke sab taq chal pade