na dekha jama-e-khud-raftagi utar ke bhi chali gain teri yaaden mujhe pukar ke bhi ye zindagi hai use talkh tursh hona hai saubaton ke zara dekh din guzar ke bhi habab-e-zist na dast-e-qaza se tut saka hayat baqi rahi qabr mein utar ke bhi tere ghurur ke hai ru-ba-ru ye khush-shikani jhuka ke sar na hue pesh shahryar ke bhi badi na roken pe nafrat to kar hi lete hain muzahire hain ye kuchh apne ikhtiyar ke bhi kabhi gale bhi milo aa ke shakh-e-gul ki tarah ada to kar diye haq hum ne intizar ke bhi qubul o rad ke sabhi ikhtiyar us ke the magar main khush tha tamanna ko us pe war ke bhi bahaar ho to lahu mein utarti hai 'shahid' hamein to chhu ke na guzre ye din bahaar ke bhi