ulfat ne teri hum ko to rakkha na kahin ka dariya ka na jangal ka sama ka na zamin ka iqlim-e-maani mein amal ho gaya mera duniya mein bharosa tha kise taj-o-nagin ka taqdir ne kya qutub-e-falak mujh ko banaya mohtaj mera panw raha khana-e-zin ka ek boriye ke takht pe auqat basar ki zahid bhi muqallid raha sajjada-nashin ka 'akhtar' qalam-e-fikr ke bhi ashk hain jari kya haal likhun apne dil-e-zar-o-hazin ka