yaad mein apne yar-e-jaani ki hum ne mar mar ke zindagani ki doston ko adu kiya hum ne kar ke tarif yar-e-jaani ki kyun na ruswa kare zamane mein ye kahani gham-e-nihani ki ruh huegi hashr mein sahab ek nishani sara-e-fani ki khaksari se badh gaya insan arz par sair aasmani ki zard surat pe hijr mein na hanso sharh hai rang-e-zafrani ki aaj kal lucknow mein ai 'akhtar' dhum hai teri khush-bayani ki