ulfat ye chhupaen hum kisi ki dil se bhi kahen na apni ji ki jaane wo kya kisi ki ji ki jis ko ulfat na ho kisi ki khwahish na bar aai apni ji ki hum ne kis kis ki dosti ki achchhi nahin sharh aashiqi ki puchho na aji kisi ki ji ki ye roe ki nama bah ke pahuncha ashkon ne hamare qasidi ki surkhi magar us ke lab ki dekhi rangat hai safed aarsi ki aashiq the wo hum ki baad apne mitti hi kharab aashiqi ki ai abr-e-shab-e-firaq sach kah rote katti hai shab kisi ki dil zulf-e-rasa talak to pahuncha itni bakhton ne rahbari ki bijli chamki to abr roya yaad aa gai kya hansi kisi ki hum kisi ki gali ki rah bhule jo khizr ne bhi na rahbari ki dil ko mere khak mein milaya dilbar ne khub dilbari ki sozish mere dil ki dekh ai mah kar sair is burj-e-atishi ki wo tifl-e-nusairi aae shayad qasmen dun murtaza-ali ki gardan-zadani thi shama-e-sarkash kyun us ki gali se ham-sari ki bas rakh diya khat mein barg-e-sausan jab likh na sake sifat misi ki thukra ke chali jabin ko mere qismat ke likhe ne yawari ki ye rashk hai munh jo yar dekhe surat dekhun na aarsi ki bhula tha main rah-e-ku-e-qatil tu ne ai maut rahbari ki us ke gardan talak na pahuncha ai dast-e-daraaz kotahi ki dil ko pala baghal mein tu ne goya dushman se dosti ki