yun ehtimam-e-radd-e-sahar kar diya gaya har raushni ko shahr-badar kar diya gaya apne gharon ke sukh se bhi ru-kash dikhai den logon ko mubtala-e-safar kar diya gaya jina har ek ke liye mumkin nahin raha jine ko ek kar-e-hunar kar diya gaya chehron se rang hath se aaine chhin kar be-chehragi ko rakht-e-nazar kar diya gaya ab jism-o-jaan pe haqq-e-tasarruf talab kare zalim ko is qadar to nidar kar diya gaya darpai the har shajar ke taffun-shiar log mahrum khushbuon se nagar kar diya gaya wo qaht-e-gham pada hai ki ek tis ke liye ahl-e-karam ka dast-e-nigar kar diya gaya