ulfaton ka khuda nahin hun main ranj-o-gham se juda nahin hun main ek arsa hua gae us ko ab to us ka pata nahin hun main kalyugi soch se hun pardushit koi taza hawa nahin hun main kharchon ke bojh ne kamar todi shauq se kui jhuka nahin hun main bewafa ba-wafa nahin hoga ishq ki kimiya nahin hun main chand sikke hain logon ki qimat shukr hai ki bika nahin hun main dharm aur zat ki jakad aisi par to hain par uda nahin hun main