hum tum mein kal duri bhi ho sakti hai wajh koi majburi bhi ho sakti hai pyar ki khatir kuchh bhi hum kar sakte hain wo teri mazduri bhi ho sakti hai sukh ka din kuchh pahle bhi chadh sakta hai dukh ki raat uburi bhi ho sakti hai dushman mujh par ghaalib bhi aa sakta hai haar meri majburi bhi ho sakti hai 'bedil' mujh mein ye jo ek kami si hai wo chahe to puri bhi ho sakti hai