uljhanen itni thin manzar aur pas-manzar ke bich

uljhanen itni thin manzar aur pas-manzar ke bich
rah gai sari masafat mil ke patthar ke bich

rukh se ye parda hata behosh kar mujh ko tabib
guftugu jitni bhi ho phir zakhm aur nashtar ke bich

us ko kya malum ahwal-e-dil-e-shisha-garan
warna aa jata kabhi to hath aur patthar ke bich

shauq-e-sajda bandagi waraftagi aur be-khudi
mo'tabar sab us ki chaukhat aur mere sar ke bich

ek qayamat husn us ka aur wo bhi jalwa-gar
main faqat mabhut jadu aur jadugar ke bich

main bhi khuddari ka mara tha safai kuchh na di
us ne bhi matlab nikale lafz aur tewar ke bich

waqt aur masrufiyat ke masale sab ek taraf
duriyan itni nahin thin 'taj' apne ghar ke bich


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close