nafrat ki aag jalne lagi tere shahr mein

nafrat ki aag jalne lagi tere shahr mein
ye baat aaj khalne lagi tere shahr mein

jo aashna the kal mere sab gum kahan hue
hijrat ki chah palne lagi tere shahr mein

marne ka marne ka ye kya daur aa gaya
jine ki aas talne lagi tere shahr mein

mera yahan se thor-thikana ujad gaya
aandhi ajib chalne lagi tere shahr mein

har dil mein kaun bharne laga dushmani yahan
shafqat bhi hath malne lagi tere shahr mein

qudrat khafa hui na kahin lae zalzala
karwat zamin badalne lagi tere shahr mein

kali ghata ki qaid mein wo kab talak rahe
ab chandni machalne lagi tere shahr mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close