uljhanon mein kaise itminan-e-dil paida karen bijliyon mein rah ke tinkon ka bharosa kya karen zabt aansu jab kiye to uchhla chehre par lahu gham ki maujen rokne se rasta paida karen kahte hain qissa zamane se yahi tashwish hai si liye hain lab magar in aansuon ko kya karen hum bhi bande hain hamein bhi maqdarat itni to hai wo khuda ban jae jis ke samne sajda karen taqat-e-didar zahir aur aankhon ko ye shauq bas tumhein dekha karen dekha karen dekha karen chahte ye hain ki rah-e-zindagi hamwar ho sochte ye hain ki duniya ko tah-o-baala karen bewafa suraj dhala jata hai chashm-e-shauq se aur kab tak e'tibar-e-wada-e-farda karen maslahat ka ye taqaza hai ki hansna chahiye bazm-e-hasti mein 'saba' kab tak gham-e-duniya karen