ulta asar ye shikwa-e-bedad se hua wo aur bhi khafa meri fariyaad se hua majnun hi se hua na wo 'farhad' se hua jo kaam ishq mein dil-e-nashad se hua dushman ki kya majal ki mujh ko bura kahe jo kuchh hua huzur ke irshad se hua us dushman-e-wafa ka tasawwur hai phir mudam majbur main to is dil-e-nashad se hua allah hi ab ke jaan bachae to bach sake phir ishq mujh ko ek sitam-ijad se hua marne ke baad bhi na gai ishq ki khalish ye uqda hal na khanjar-e-jallad se hua itna to be-qarar hua tha na dil kabhi jitna ki muztar aaj teri yaad se hua jo kaam doston se na ulfat mein ho saka 'hajir' wo kaam ghair ki imdad se hua