siwae ishq-e-butan aur mujh ko kaam nahin unhi ka zikr hai lab par khuda ka nam nahin talash-e-yar mein aawara-war phirta hun misal-e-charkh mujhe ek dam qiyam nahin raqib ke liye bhar bhar ke jam aate hain hamare waste pine ka intizam nahin suluk ghair se jo hai wo hum se hota hai tumhaari bazm mein tafriq-e-khas-o-am nahin hasin jitne hain sab mal-o-zar ke bande hain yahan to ishq hai lekin girah mein dam nahin kisi se roz tasawwur mein baat hoti hai qasam khuda ki mujhe hajat-e-payam nahin na kar visal mein un se gila dil-e-nadan khushi ka waqt hai rone ka ye maqam nahin har ek sher mein hijran butan ka rona hai tere kalam mein 'hajir' khushi ka nam nahin