umiden to wabasta hain abr-e-tar se jo barse to barse na barse na barse jahan kya hai aur is ki ranginiyan kya ye puchho kisi dida-e-haq-nigar se zaban o dahan se jo khulte nahin hain wo khul jate hain raaz aksar nazar se mera rasta karwan se alag hai guzarna hai ek manzil-e-pur-khatar se ye hai 'amn' insan ki pasti si pasti gunah se bacha bhi to dozakh ke dar se