ye mai-kash kaun ba-sad laghzish-e-mastana aata hai ishaare hote hain wo raunaq-e-mai-khana aata hai tumhaari bazm bhi kya bazm hai aadab hain kaise wahi maqbul hota hai jo gustakhana aata hai kahani apni apni ahl-e-mahfil jab sunate hain mujhe bhi yaad ek bhula hua afsana aata hai dua teri tere mantar bhala maqbul kya honge badi dil mein liye su-e-ibaadat-khana aata hai hawa-e-taza abr-e-tar fuzun josh-e-numu lekin nasib-e-dushmanan hai khet mein jo dana aata hai har ek thokar pe hai ai 'amn' laghzish ka guman mujh ko har ek patthar nazar sang-e-dar-e-mai-khana aata hai