ummid-e-shauq ho ya wada-e-rahat-fiza koi mariz-e-ishq ko achchha nahin karti dawa koi bhari duniya mein apne bhi hain begane bhi hain lekin nahin hamdard ab mera tere gham ke siwa koi purana ho gaya hai zikr-e-tauba chhodiye saqi purani ho to la koi rakha koi pila koi mujhe ye arz karni hai tumhaari be-niyazi se tumhaari aarzu ke baad kaisa muddaa koi ye apni apni aadat hai ye apni apni fitrat hai koi hai banda-e-mehr-o-wafa to be-wafa koi zamane ki nigahon mein gunahgar-e-wafa hum hain na jaane kyun nahin hota hamara faisla koi ye dil atke ka sauda hai ye dil aaega qissa hai mohabbat ki nigahon mein nahin achchha bura koi sama kar dil mein parda hai nigah-e-shauq se yani khud apne aap se chhupta hai ab kafir-ada koi 'rishi' hum har kisi se haal dil ka kah nahin sakte badi mushkil se milta hai kahin dard-ashna koi