nikle wo phul ban ke tere gulsitan se hum mahka diya fazaon ko guzre jahan se hum ab to yahi harim-e-mohabbat hai ai sanam jaen kahan ab uth ke tere aastan se hum duniya mein ab kahin bhi thaharti nahin nazar tujh sa hasin laen to laen kahan se hum dil le ke jis ne dard-e-mohabbat ata kiya mangenge ab dawa bhi usi mehrban se hum daman mein kuchh to dal de apne karam ki bhik daman tahi na jaenge us aastan se hum tera karam raha jo rah-e-ishq mein sanam ek roz aa milenge tere karwan se hum likkhi hui thi qaid-e-anasir nasib mein le kar chale hain apna qafas aashiyan se hum rah-e-junun mein khilne lage aashiqi ki phul un ke karam ke sae mein guzre jahan se hum thukraen ya nawaz len wo hum ko ai 'fana' shikwa kabhi karenge na apni zaban se hum