ummid-e-subh-e-bahaaran khizan se khinchte hain ye tir roz dil-e-na-tawan se khinchte hain kashid-e-tishna-labi qatra qatra pite hain ye aab-e-talkh gham-e-raftagan se khinchte hain main un se luqma-e-tayyab ki dad kya chahun jo apna rizq dahan-e-sagan se khinchte hain subu se lazzat-e-yak-guna lete hain lekin khumar-e-khas lab-e-dostan se khinchte hain dikhai padta hai aada mein ek chehra-e-dost so hath sahibo saif o sinan se khinchte hain khayal-e-taza se karte hain khwab-e-nau takhliq 'zafar' zaminen nai aasman se khinchte hain