kya dhundne aae ho nazar mein dekha hai tumhin ko umr-bhar mein meayar-e-jamal-o-rang-o-bu the wo jab tak rahe meri chashm-e-tar mein ab khwab-o-khayal ban gae ho ab dil mein raho, raho nazar mein wo rang tumhaare kaam aaya udta hai jo gham ki dopahar mein hae ye tawil o sard raaten aur ek hayat-e-mukhtasar mein ab surat-e-haal ban gaya hun milta hun nigah-e-chaaragar mein ya aur sitare aur shabnam ya mar rahen daman-e-sahar mein ya manzil-e-mahr-o-mah bhi hai ya rah-e-farar hai safar mein wo bhi to 'zafar' se khush nahin hain rahte hain jo dida-e-'zafar' mein