ummid hai ki mujh ko khuda aadmi kare par aadmi kare to bhala aadmi kare is tarah wo fareb se dil le gae mera jis tarah aadmi se dagha aadmi kare bhatin nahin kuchh us ke nikalti hai apni jaan kya aise bewafa se wafa aadmi kare mara hai kohkan ne sar apne pe tesha aah dil ko lagi ho chot to kya aadmi kare gar kuchh kaha bigad ke main bas us ne hans diya kya aise aadmi ka gila aadmi kare guzra main aisi chah se ta-chand ham-nashin baitha kisi ke sar ko laga aadmi kare hai ishq bad-maraz koi jata hai 'muntazir' kya khak is maraz ki dawa aadmi kare